dast-e-qatil ko mohabbat ka sabab karte hain
dast-e-qātil ko mohabbat kā sabab karte haiñ
ham diye haiñ jo havāoñ kā adab karte haiñ
kis aziyyat se guzarte haiñ kabhī soch ke dekh
log jo niiñd nahīñ maut talab karte haiñ
ḳhvāb mahbūb dharam naam sabhī kuchh kho kar
ḳhud-kushī gar nahīñ karte to ġhazab karte haiñ
yuuñ to vahshat hai yā ġhussa hai hamārī pahchān
haañ magar pyaar bahut karte haiñ jab karte haiñ
aah ko qahqaha karne kā hunar jānte haiñ
mātamī rang ko ham rang-e-tarab karte haiñ
ham se logoñ ko hī majzūb kahā jaatā hai
yaar ke naam ko jo nām-o-nasab karte haiñ
dast-e-qatil ko mohabbat ka sabab karte hain
hum diye hain jo hawaon ka adab karte hain
kis aziyyat se guzarte hain kabhi soch ke dekh
log jo nind nahin maut talab karte hain
KHwab mahbub dharam nam sabhi kuchh kho kar
KHud-kushi gar nahin karte to ghazab karte hain
yun to wahshat hai ya ghussa hai hamari pahchan
han magar pyar bahut karte hain jab karte hain
aah ko qahqaha karne ka hunar jaante hain
matami rang ko hum rang-e-tarab karte hain
hum se logon ko hi majzub kaha jata hai
yar ke nam ko jo nam-o-nasab karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.