Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dast-e-ulfat baDh gae main un ka shaida ho gaya

Ata Lucknowi

dast-e-ulfat baDh gae main un ka shaida ho gaya

Ata Lucknowi

MORE BYAta Lucknowi

    dast-e-ulfat baḌh ga.e maiñ un shaidā ho gayā

    hijr ġham is qadar khāyā ki haiza ho gayā

    ham the m a paas interview meñ phir bhī rah ga.e

    matric lekin minister navāsā ho gayā

    vo samajhtā thā adā hai ho agar tirchhī nigāh

    mashq itnī ki āḳhir vo paTankhā ho gayā

    dekhtā thā muñh rahā jis vaqt tak ye aa.ina

    ab dil-e-sad-chāk merā un kanghā ho gayā

    tiir ulfat kahīñ puurā kahīñ aadhā lagā

    koī andhā ho gayā aur koī kaanā ho gayā

    qais ko thā ishq phir lailā ko ulfat ho ga.ī

    ibtidā meñ nar jo thā āḳhir vo maada ho gayā

    kañTh maalā us ke niklā ho gayā vo talḳh-kām

    jo ki mīThā aam thā kaḌvā karailā ho gayā

    yaad aaya jabki majnūñ thā kabhī lambī khajūr

    vo din hai suukh kar bilkul chhuārā ho gayā

    dast-e-ulfat baDh gae main un ka shaida ho gaya

    hijr ka gham is qadar khaya ki haiza ho gaya

    hum the m a pas interwiew mein phir bhi rah gae

    matric lekin minister ka nawasa ho gaya

    wo samajhta tha ada hai ho agar tirchhi nigah

    mashq ki itni ki aaKHir wo paTankha ho gaya

    dekhta tha munh raha jis waqt tak ye aaina

    ab dil-e-sad-chaak mera un ka kangha ho gaya

    tir ulfat ka kahin pura kahin aadha laga

    koi andha ho gaya aur koi kana ho gaya

    qais ko tha ishq phir laila ko ulfat ho gai

    ibtida mein nar jo tha aaKHir wo mada ho gaya

    kanTh mala us ke nikla ho gaya wo talKH-kaam

    jo ki miTha aam tha kaDwa karaila ho gaya

    yaad aaya jabki majnun tha kabhi lambi khajur

    ya wo din hai sukh kar bilkul chhuara ho gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now