dast-kash hon na mai-e-gul ke KHush-asham abhi
dast-kash hoñ na mai-e-gul ke ḳhush-āshām abhī
ki labālab haiñ mah-o-mehr ke do-jām abhī
zehn meñ saaqī hai mai-ḳhāna hai hai jaam abhī
hosh kahtā huuñ ise hosh kā kyā kaam abhī
mujh ko darkār na hai kufr na islām abhī
sīdhe sīdhe hī chale aate haiñ paiġhām abhī
tū bhī baaqī tirī rahmat bhī hai baaqī saaqī
rahne de hai mai-e-isyāñ se baḌā kaam abhī
ḳhāl-o-gesū se hai ye silsila-e-rāz-o-niyāz
daana sad-dāna ho ye daam ho sad-dām abhī
ziist ke ḳhvāb kī ta.abīr abhī baaqī hai
ibtidā dekh chuke hai magar anjām abhī
rah-rav-e-ishq abhī duur hai me.arāj-e-habīb
rashk-e-manzil na huā raah meñ har gaam abhī
zarra-zarra hai ik ātish-kada-e-nūr kalīm
dekh agar tū na ho ātish-zada-e-bām abhī
imtiyāz-e-man-o-tū rāz-e-ḳhafī hai lekin
ḳhāsgāñ ke liye kahtā huuñ sar-e-ām abhī
aks ko zo'm hai be-mislī-e-rang-o-bū kā
turfa ye hai ki muqābil hai vo gulfām abhī
rāz-goī tirī 'aiman' hai gunāh-e-akbar
maañg le afv ki us kā hai karam aam abhī
dast-kash hon na mai-e-gul ke KHush-asham abhi
ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jam abhi
zehn mein saqi hai mai-KHana hai hai jam abhi
hosh kahta hun ise hosh ka kya kaam abhi
mujh ko darkar na hai kufr na islam abhi
sidhe sidhe hi chale aate hain paigham abhi
tu bhi baqi teri rahmat bhi hai baqi saqi
rahne de hai mai-e-isyan se baDa kaam abhi
KHal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaz
dana sad-dana ho ye dam ho sad-dam abhi
zist ke KHwab ki tabir abhi baqi hai
ibtida dekh chuke hai magar anjam abhi
rah-raw-e-ishq abhi dur hai mearaj-e-habib
rashk-e-manzil na hua rah mein har gam abhi
zarra-zarra hai ek aatish-kada-e-nur kalim
dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi
imtiyaz-e-man-o-tu raaz-e-KHafi hai lekin
KHasgan ke liye kahta hun sar-e-am abhi
aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu ka
turfa ye hai ki muqabil hai wo gulfam abhi
raaz-goi teri 'aiman' hai gunah-e-akbar
mang le afw ki us ka hai karam aam abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.