dastar bachata hun to sar bach nahin sakta
dastār bachātā huuñ to sar bach nahīñ saktā
is karb-e-musalsal meñ hunar bach nahīñ saktā
jo shāḳh alag ho vo numū pā nahīñ saktī
dīvār se TuuTā huā dar bach nahīñ saktā
jalte hue sūraj se musāfir ne kahā thā
ab terī tamāzat se nagar bach nahīñ saktā
tū aks-e-ma.ānī ke samandar kā shanāvar
nazroñ se tirī ahl-e-nazar bach nahīñ saktā
har moḌ pe maiñ madd-e-muqābil huuñ 'safī' ke
bachtā huuñ bahut ḳhud se magar bach nahīñ saktā
dastar bachata hun to sar bach nahin sakta
is karb-e-musalsal mein hunar bach nahin sakta
jo shaKH alag ho wo numu pa nahin sakti
diwar se TuTa hua dar bach nahin sakta
jalte hue suraj se musafir ne kaha tha
ab teri tamazat se nagar bach nahin sakta
tu aks-e-maani ke samandar ka shanawar
nazron se teri ahl-e-nazar bach nahin sakta
har moD pe main madd-e-muqabil hun 'safi' ke
bachta hun bahut KHud se magar bach nahin sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.