dastar gir na jae sanbhaliye sanbhaaliye
dastār gir na jaa.e sañbhaliye sañbhāliye
merā savāl merī taraf mat uchhāliye
ik aag 'ishq kī liye phiriye tamām 'umr
kis ne kahā thā haath sharāroñ meñ Dāliye
ye kaun phuul phuul khilā shāḳh shāḳh par
maiñ ḳhaak chhāntā rahā kis kī havā liye
kyā 'umr ko muhīt hai ye 'arsa-e-'azāb
āñkhoñ se merī sūiyāñ ab to nikāliye
qaa.im thā aitabār-e-vafā jin ke naam se
vo āsmāñ tamām ḳhudā ne uThā liye
'sāqib' bahut garāñ hai shab-e-jazb-o-roz-e-hāl
mīzān-e-'aql-o-hosh subuk hai sañbhāliye
dastar gir na jae sanbhaliye sanbhaaliye
mera sawal meri taraf mat uchhaaliye
ek aag 'ishq ki liye phiriye tamam 'umr
kis ne kaha tha hath shararon mein Daliye
ye kaun phul phul khila shaKH shaKH par
main KHak chhanta raha kis ki hawa liye
kya 'umr ko muhit hai ye 'arsa-e-'azab
aankhon se meri suiyan ab to nikaliye
qaim tha aitabar-e-wafa jin ke nam se
wo aasman tamam KHuda ne uTha liye
'saqib' bahut garan hai shab-e-jazb-o-roz-e-haal
mizan-e-'aql-o-hosh subuk hai sanbhaaliye
- Book : Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 42)
- Author : Ameer Hamza Saqib
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.