dastak na koi dar pe na mehman ki tawaqqo
dastak na koī dar pe na mehmāñ kī tavaqqo
ab chhūT ga.ī mahfil-e-yārāñ kī tavaqqo
shaam aa.ī ki phir bujhne lage chāñd sitāre
phir maañd huī jashn-e-charāġhāñ kī tavaqqo
har samt bas ab sūkhe shajar haañp rahe haiñ
aise meñ kare kaun bahārāñ kī tavaqqo
siine meñ sajā.e haiñ tire zaḳhm ke buuTe
marham kī tamanna hai na darmāñ kī tavaqqo
hai ab bhī mujhe tere palaT aane kī ummīd
ab tak hai mujhe va.ada-o-paimāñ kī tavaqqo
bas āḳhirī ummīd kī mānind bachī hai
dil ke kisī kone meñ tirī haañ kī tavaqqo
dastak na koi dar pe na mehman ki tawaqqo
ab chhuT gai mahfil-e-yaran ki tawaqqo
sham aai ki phir bujhne lage chand sitare
phir mand hui jashn-e-charaghan ki tawaqqo
har samt bas ab sukhe shajar hanp rahe hain
aise mein kare kaun bahaaran ki tawaqqo
sine mein sajae hain tere zaKHm ke buTe
marham ki tamanna hai na darman ki tawaqqo
hai ab bhi mujhe tere palaT aane ki ummid
ab tak hai mujhe wada-o-paiman ki tawaqqo
bas aaKHiri ummid ki manind bachi hai
dil ke kisi kone mein teri han ki tawaqqo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.