dastak pe koi bhi na mujhe aan kar mila
dastak pe koī bhī na mujhe aan kar milā
barsoñ ke ba.ad bhī vo mujhe band dar milā
qismat meñ hādsāt kī likkhī huī thī dhuup
raste meñ sāya-dār na koī shajar milā
bachchoñ se chhin gayā maiñ talāsh-e-ma.āsh meñ
chhuTTī ke bāvajūd maiñ un ko na ghar milā
biivī se roz roz ke jhagḌoñ se āḳhirash
logoñ ko us kā rail kī paTrī pe sar milā
hāthoñ meñ ḳhvāhishāt ke kaase liye hue
mujh ko sukūn-e-dil se tahī har bashar milā
ḳhadshāt bhī na sach se mujhe baaz rakh sake
jhūTī gavāhiyoñ kā na mujh ko hunar milā
us kī ināyatoñ se jhukī shāḳh shāḳh ko
'mehdī' tavaqquāt se baḌh kar samar milā
dastak pe koi bhi na mujhe aan kar mila
barson ke baad bhi wo mujhe band dar mila
qismat mein hadsat ki likkhi hui thi dhup
raste mein saya-dar na koi shajar mila
bachchon se chhin gaya main talash-e-maash mein
chhuTTi ke bawajud main un ko na ghar mila
biwi se roz roz ke jhagDon se aaKHirash
logon ko us ka rail ki paTri pe sar mila
hathon mein KHwahishat ke kase liye hue
mujh ko sukun-e-dil se tahi har bashar mila
KHadshat bhi na sach se mujhe baz rakh sake
jhuTi gawahiyon ka na mujh ko hunar mila
us ki inayaton se jhuki shaKH shaKH ko
'mehdi' tawaqquat se baDh kar samar mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.