Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dastak si ye kya thi koi saya hai ki main hun

Razi Akhtar Shauq

dastak si ye kya thi koi saya hai ki main hun

Razi Akhtar Shauq

MORE BYRazi Akhtar Shauq

    dastak ye kyā thī koī saayā hai ki maiñ huuñ

    ik shaḳhs mirī tarah aayā hai ki maiñ huuñ

    sab jaisā huuñ lekin mire tasvīr-garoñ ne

    chehra mirā is ruḳh se banāyā hai ki maiñ huuñ

    kyā niiñd thī vo apne na hone ke nashe

    kyuuñ ye mire hone ne batāyā hai ki maiñ huuñ

    maiñ huuñ ki haiñ maujūd mire dekhne vaale

    ḳhud mujh ko to kam kam nazar aayā hai ki maiñ huuñ

    maiñ huuñ so ye ḳhushbū tirī aatī rahī mujh se

    kuchh tere bhī hone se sujhāyā hai ki maiñ huuñ

    maiñ is meñ magan vahm hai ḳhvāb hai hastī

    logoñ ne magar daam bichhāyā hai ki maiñ huuñ

    dekhūñ to mire aks se kyā kahtā hai dariyā

    pal-bhar ko to lahroñ ne batāyā hai ki maiñ huuñ

    kuchh rañg lagā.e bhī haiñ tasvīr-garoñ ne

    hañs ke ye kāġhaz uḌāyā hai ki maiñ huuñ

    kuchh kam to nahīñ ye mire hone gumrāhī

    is jurm meñ kis kis ne satāyā hai ki maiñ huuñ

    dastak si ye kya thi koi saya hai ki main hun

    ek shaKHs meri tarah ka aaya hai ki main hun

    sab jaisa hun lekin mere taswir-garon ne

    chehra mera is ruKH se banaya hai ki main hun

    kya nind thi wo apne na hone ke nashe ki

    kyun ye mere hone ne bataya hai ki main hun

    main hun ki hain maujud mere dekhne wale

    KHud mujh ko to kam kam nazar aaya hai ki main hun

    main hun so ye KHushbu teri aati rahi mujh se

    kuchh tere bhi hone se sujhaya hai ki main hun

    main is mein magan wahm hai ya KHwab hai hasti

    logon ne magar dam bichhaya hai ki main hun

    dekhun to mere aks se kya kahta hai dariya

    pal-bhar ko to lahron ne bataya hai ki main hun

    kuchh rang lagae bhi hain taswir-garon ne

    ya hans ke ye kaghaz hi uDaya hai ki main hun

    kuchh kam to nahin ye mere hone ki gumrahi

    is jurm mein kis kis ne sataya hai ki main hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now