dastaras mein kahkashan jugnu diya kuchh bhi nahin
dastaras mein kahkashan jugnu diya kuchh bhi nahin
Maqsood Anwar Maqsood
MORE BYMaqsood Anwar Maqsood
dastaras meñ kahkashāñ jugnū diyā kuchh bhī nahīñ
shukr hai phir bhī mire maulā gila kuchh bhī nahīñ
kaun hai maqtūl qātil kaun sab ḳhāmosh haiñ
be-hisī hai varna āñkhoñ se chhupā kuchh bhī nahīñ
is dil-e-betāb ko taskīn āḳhir kaun de
is kī qismat meñ tahammul ke sivā kuchh bhī nahīñ
roz-o-shab ke an-ginat aurāq palTe haiñ magar
zindagī kī kyā haqīqat hai patā kuchh bhī nahīñ
terī qudrat meñ hai saare mas.aloñ kā hal nihāñ
tere aage mere maulā mas.ala kuchh bhī nahīñ
kyā ye kam hai ummatī huuñ maiñ tire mahbūb kā
kaise kah duuñ ai ḳhudā mujh ko milā kuchh bhī nahīñ
munsifoñ ke faisle is daur meñ haiñ be-misāl
us ko dete haiñ sazā jis kī ḳhatā kuchh bhī nahīñ
bevafā ko kyā sunātā maiñ vafā kī dāstāñ
maiñ ne us ko āḳhirī ḳhat meñ likhā kuchh bhī nahīñ
maiñ kisī ko kyuuñ sunā.ūñ apnī rūdād-e-hayāt
tū mirā 'maqsūd' tujh se to chhupā kuchh bhī nahīñ
dastaras mein kahkashan jugnu diya kuchh bhi nahin
shukr hai phir bhi mere maula gila kuchh bhi nahin
kaun hai maqtul qatil kaun sab KHamosh hain
be-hisi hai warna aankhon se chhupa kuchh bhi nahin
is dil-e-betab ko taskin aaKHir kaun de
is ki qismat mein tahammul ke siwa kuchh bhi nahin
roz-o-shab ke an-ginat auraq palTe hain magar
zindagi ki kya haqiqat hai pata kuchh bhi nahin
teri qudrat mein hai sare masalon ka hal nihan
tere aage mere maula masala kuchh bhi nahin
kya ye kam hai ummati hun main tere mahbub ka
kaise kah dun ai KHuda mujh ko mila kuchh bhi nahin
munsifon ke faisle is daur mein hain be-misal
us ko dete hain saza jis ki KHata kuchh bhi nahin
bewafa ko kya sunata main wafa ki dastan
main ne us ko aaKHiri KHat mein likha kuchh bhi nahin
main kisi ko kyun sunaun apni rudad-e-hayat
tu mera 'maqsud' tujh se to chhupa kuchh bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.