dastur tark kar ke baghawat karenge hum
dastūr tark kar ke baġhāvat kareñge ham
ātish-kade meñ jhoñk ke duniyā chaleñge ham
sadmoñ kā apne vāste kuchh ehtimām ho
vahshat tamām hogī to marne lageñge ham
kaisī 'ajīb baat pe aTkā hai ab ke zehn
tere nahīñ rahe to kahāñ ke raheñge ham
thakne lageñge ‘ālam-e-āvārgī meñ jab
vahshat kā haath thaam ke aage baḌheñge ham
achchhā chalo tamām huā saath aur salām
achchhā ḳhudā ne chāhā to phir se mileñge ham
dastur tark kar ke baghawat karenge hum
aatish-kade mein jhonk ke duniya chalenge hum
sadmon ka apne waste kuchh ehtimam ho
wahshat tamam hogi to marne lagenge hum
kaisi 'ajib baat pe aTka hai ab ke zehn
tere nahin rahe to kahan ke rahenge hum
thakne lagenge ‘alam-e-awargi mein jab
wahshat ka hath tham ke aage baDhenge hum
achchha chalo tamam hua sath aur salam
achchha KHuda ne chaha to phir se milenge hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.