dauDta rahta hun na-malum samton ki taraf
dauḌtā rahtā huuñ nā-mālūm samtoñ kī taraf
dekhtā hargiz nahīñ pairoñ ke chhāloñ kī taraf
bastiyoñ ke log sach sun kar bahut barham hue
ab mirā uglā nishāna ḳhānqāhoñ kī taraf
ab mire dāman se uljhī haiñ kaTīlī jhāḌiyāñ
kyuuñ nikal aayā thā ghar se ḳhār-zāroñ kī taraf
saḳht tanhā.ī kī vahshat se mujhe marnā nahīñ
ghar se ghabrā kar nikal paḌtā huuñ rāhoñ kī taraf
dekhnā ḳhurshīd-e-ālam-tāb kā aalam ki phir
DhūñDne niklā hai ḳhud ko māh-pāroñ kī taraf
dauDta rahta hun na-malum samton ki taraf
dekhta hargiz nahin pairon ke chhaalon ki taraf
bastiyon ke log sach sun kar bahut barham hue
ab mera ugla nishana KHanqahon ki taraf
ab mere daman se uljhi hain kaTili jhaDiyan
kyun nikal aaya tha ghar se KHar-zaron ki taraf
saKHt tanhai ki wahshat se mujhe marna nahin
ghar se ghabra kar nikal paDta hun rahon ki taraf
dekhna KHurshid-e-alam-tab ka aalam ki phir
DhunDne nikla hai KHud ko mah-paron ki taraf
- Book : Shor ke darmayan (Pg. 35)
- Author : Jamal Owaisi
- Publication : Educational Publishing House (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.