daur-e-hazir mein sahafat ka gala ghonT diya
daur-e-hāzir meñ sahāfat kā galā ghoñT diyā
be-zamīroñ ne sadāqat kā galā ghoñT diyā
ham ne apnā ke mohabbat kā qarīna yaaro
nafrat-o-buġhz-o-adāvat kā galā ghoñT diyā
zindagī tab kahīñ phir chain-o-sukūñ se guzrī
maiñ ne jab apnī zarūrat kā galā ghoñT diyā
mujh ko Dar thā ki baḌhā de na kahīñ ye duurī
lab pe aate hī shikāyat kā galā ghoñT diyā
is tarah phailī kiran ugte hue sūraj kī
kuchh hī pal meñ shab-e-zulmat kā galā ghoñT diyā
ham-safar maañ kī duā.eñ thiiñ safar meñ yaaro
jis ne har ek musībat kā galā ghoñT diyā
tab qarār aaya kahīñ qalb-e-hazīñ ko mere
jab tire qurb ne vahshat kā galā ghoñT diyā
bil-yaqīñ us ko zamāne meñ milegī manzil
jis musāfir ne sa.ūbat kā galā ghoñT diyā
tujh se mil kar jo milī 'sād' ke is dil ko sanam
us masarrat ne aziyyat kā galā ghoñT diyā
daur-e-hazir mein sahafat ka gala ghonT diya
be-zamiron ne sadaqat ka gala ghonT diya
hum ne apna ke mohabbat ka qarina yaro
nafrat-o-bughz-o-adawat ka gala ghonT diya
zindagi tab kahin phir chain-o-sukun se guzri
main ne jab apni zarurat ka gala ghonT diya
mujh ko Dar tha ki baDha de na kahin ye duri
lab pe aate hi shikayat ka gala ghonT diya
is tarah phaili kiran ugte hue suraj ki
kuchh hi pal mein shab-e-zulmat ka gala ghonT diya
ham-safar man ki duaen thin safar mein yaro
jis ne har ek musibat ka gala ghonT diya
tab qarar aaya kahin qalb-e-hazin ko mere
jab tere qurb ne wahshat ka gala ghonT diya
bil-yaqin us ko zamane mein milegi manzil
jis musafir ne saubat ka gala ghonT diya
tujh se mil kar jo mili 'sad' ke is dil ko sanam
us masarrat ne aziyyat ka gala ghonT diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.