daur-e-jawani kab Thahra hai aaj nahin to kal jaega
daur-e-jawani kab Thahra hai aaj nahin to kal jaega
Soz Sikandarpuri
MORE BYSoz Sikandarpuri
daur-e-javānī kab Thahrā hai aaj nahīñ to kal jā.egā
kab tak is par naaz karoge chaḌhtā sūraj Dhal jā.egā
sozish-e-ġham se dil pighlā hai chingārī hai har har qatra
aap na pochheñ mere aañsū aap kā dāman jal jā.egā
raushan chehra chhup jā.egā aap sañvāreñ zulfeñ varna
din ke ujāle kho jā.eñge raat kā jaadū chal jā.egā
sāġhar khanke maiḳhāne meñ raat Dhalī ab lutf aaya hai
aise meñ ai sāqi-e-mahfil shaiḳh kā aanā khul jā.egā
aaj kī bāteñ kal pe na chhoḌo 'soz' tumheñ ma.alūm nahīñ hai
haath hī malte rah jāoge chaal zamāna chal jā.egā
daur-e-jawani kab Thahra hai aaj nahin to kal jaega
kab tak is par naz karoge chaDhta suraj Dhal jaega
sozish-e-gham se dil pighla hai chingari hai har har qatra
aap na pochhen mere aansu aap ka daman jal jaega
raushan chehra chhup jaega aap sanwaren zulfen warna
din ke ujale kho jaenge raat ka jadu chal jaega
saghar khanke maiKHane mein raat Dhali ab lutf aaya hai
aise mein ai saqi-e-mahfil shaiKH ka aana khul jaega
aaj ki baaten kal pe na chhoDo 'soz' tumhein malum nahin hai
hath hi malte rah jaoge chaal zamana chal jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.