daur-e-KHizan mein mazhar-e-josh-e-bahaar the
daur-e-ḳhizāñ meñ maz.har-e-josh-e-bahār the
vo haath jin meñ jaib-o-garebāñ ke taar the
dil hī ko e'tibār na aayā maiñ kyā karūñ
va.ade tumhāre lā.eq-e-sad-e'tibār the
un ke baġhair guzre jo un ke ḳhayāl meñ
lamhe vahī to ashk-e-shab-e-intizār the
jazbe javāñ hue jo salīboñ ke darmiyāñ
ehsās-e-zindagī kā hasīñ shāhkār the
ik terī yaad thī ki jo dil meñ basī rahī
kahne ko yuuñ to mere bahut ġham-gusār the
jo hañste hañste pī ga.e har talḳh baat ko
vo rind mai-kade meñ baḌe bā-vaqār the
majbūriyāñ bhī hotī haiñ kuchh zindagī ke saath
kyā ham ḳhushī se apne ġhamoñ ke shikār the
dariyā kī mauj mauj ne kyā kyā kiye sulūk
kuchh vo batā sakeñge jo tūfāñ ke paar the
'shāhid' ye inqilāb-e-zamāna to dekhiye
muflis vo ho ga.e haiñ ki jo tājdār the
daur-e-KHizan mein mazhar-e-josh-e-bahaar the
wo hath jin mein jaib-o-gareban ke tar the
dil hi ko e'tibar na aaya main kya karun
wade tumhaare laeq-e-sad-e'tibar the
un ke baghair guzre jo un ke KHayal mein
lamhe wahi to ashk-e-shab-e-intizar the
jazbe jawan hue jo salibon ke darmiyan
ehsas-e-zindagi ka hasin shahkar the
ek teri yaad thi ki jo dil mein basi rahi
kahne ko yun to mere bahut gham-gusar the
jo hanste hanste pi gae har talKH baat ko
wo rind mai-kade mein baDe ba-waqar the
majburiyan bhi hoti hain kuchh zindagi ke sath
kya hum KHushi se apne ghamon ke shikar the
dariya ki mauj mauj ne kya kya kiye suluk
kuchh wo bata sakenge jo tufan ke par the
'shahid' ye inqilab-e-zamana to dekhiye
muflis wo ho gae hain ki jo tajdar the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.