daur-e-nau ka jo taqaza hai nazar mein rakhna
daur-e-nau kā jo taqāzā hai nazar meñ rakhnā
gardish-e-vaqt ko bhī apne asar meñ rakhnā
jaane kis moḌ pe ho jā.egī duniyā dushman
har qadam soch ke tum rāh-e-safar meñ rakhnā
ye jo anmol guhar ziist kā sarmāya haiñ
ashk aa.eñ to inheñ dīda-e-tar meñ rakhnā
rāh-e-dushvār meñ kaam aa.egī be-shak ye bhī
baap aur maañ kī duā zād-e-safar meñ rakhnā
mere lab par koī shikva to nahīñ hai lekin
ai ḳhudā mujh ko duāoñ ke asar meñ rakhnā
din meñ tum dekh na pāoge kahīñ bhī jugnū
raat kā husn sadā zehn-o-nazar meñ rakhnā
imtihāñ-gāh ye duniyā hai koī baat nahīñ
zikr-e-ma.abūd ko sāñsoñ ke safar meñ rakhnā
sabr aur zabt-o-tahammul haiñ bahut qīmtī shai
is kā 'maqsūd' thā dāmān-e-bashar meñ rakhnā
daur-e-nau ka jo taqaza hai nazar mein rakhna
gardish-e-waqt ko bhi apne asar mein rakhna
jaane kis moD pe ho jaegi duniya dushman
har qadam soch ke tum rah-e-safar mein rakhna
ye jo anmol guhar zist ka sarmaya hain
ashk aaen to inhen dida-e-tar mein rakhna
rah-e-dushwar mein kaam aaegi be-shak ye bhi
bap aur man ki dua zad-e-safar mein rakhna
mere lab par koi shikwa to nahin hai lekin
ai KHuda mujh ko duaon ke asar mein rakhna
din mein tum dekh na paoge kahin bhi jugnu
raat ka husn sada zehn-o-nazar mein rakhna
imtihan-gah ye duniya hai koi baat nahin
zikr-e-mabud ko sanson ke safar mein rakhna
sabr aur zabt-o-tahammul hain bahut qimti shai
is ka 'maqsud' tha daman-e-bashar mein rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.