daur-e-rafta dekh leta hun gulistan dekh kar
daur-e-rafta dekh letā huuñ gulistāñ dekh kar
gul ko ḳhandāñ dekh kar bulbul ko giryāñ dekh kar
nāḳhudā par mutma.in the bandagān-e-nāḳhudā
ab ḳhudā yaad aa rahā hai mauj-e-tūfāñ dekh kar
sañg-dil samjhā barahman shaiḳh samjhe had mazāq
hañs paḌe donoñ mujhe ab tak musalmāñ dekh kar
shikva farmāte hī ulTī minnateñ karnī paḌīñ
dil pashemāñ ho gayā un ko pashemāñ dekh kar
is mashaqqat-gāh meñ rāhat kā ye gosha 'hafīz'
dekh lo aur ḳhush raho gor-e-ġharībāñ dekh kar
daur-e-rafta dekh leta hun gulistan dekh kar
gul ko KHandan dekh kar bulbul ko giryan dekh kar
naKHuda par mutmain the bandagan-e-naKHuda
ab KHuda yaad aa raha hai mauj-e-tufan dekh kar
sang-dil samjha barahman shaiKH samjhe had mazaq
hans paDe donon mujhe ab tak musalman dekh kar
shikwa farmate hi ulTi minnaten karni paDin
dil pasheman ho gaya un ko pasheman dekh kar
is mashaqqat-gah mein rahat ka ye gosha 'hafiz'
dekh lo aur KHush raho gor-e-ghariban dekh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.