daur-e-shabab zulm-o-wafa yaad aa gaya
daur-e-shabāb zulm-o-vafā yaad aa gayā
vo jab bhī yaad aa.e ḳhudā yaad aa gayā
vo sāmne rahe to mujhe chup sī lag ga.ī
vo jab ga.e har ek gila yaad aa gayā
jab do na.e diloñ meñ hue kuchh muāhide
mujh ko bhī apnā daur-e-vafā yaad aa gayā
mansūr-o-dār kā jo sunā maiñ ne vāqi.a
mujh ko tazād-e-jurm-o-sazā yaad aa gayā
namnāk ho ke rah ga.ī kyoñ chashm-e-mast-e-nāz
kyā phir koī ḳharāb-e-vafā yaad aa gayā
ḳhurshīd ko shafaq kī fazāoñ meñ dekh kar
dast-e-hasīñ pe rang-e-hinā yaad aa gayā
guzrā nazar se jab koī barbād-e-ārzū
'mūsā' ko chāhatoñ kā mazā yaad aa gayā
daur-e-shabab zulm-o-wafa yaad aa gaya
wo jab bhi yaad aae KHuda yaad aa gaya
wo samne rahe to mujhe chup si lag gai
wo jab gae har ek gila yaad aa gaya
jab do nae dilon mein hue kuchh muahide
mujh ko bhi apna daur-e-wafa yaad aa gaya
mansur-o-dar ka jo suna main ne waqia
mujh ko tazad-e-jurm-o-saza yaad aa gaya
namnak ho ke rah gai kyon chashm-e-mast-e-naz
kya phir koi KHarab-e-wafa yaad aa gaya
KHurshid ko shafaq ki fazaon mein dekh kar
dast-e-hasin pe rang-e-hina yaad aa gaya
guzra nazar se jab koi barbaad-e-arzu
'musa' ko chahaton ka maza yaad aa gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.