dauran-e-jang himmat-e-mardana chahiye
dauran-e-jang himmat-e-mardana chahiye
Rahbar Tabani Dariyabadi
MORE BYRahbar Tabani Dariyabadi
daurān-e-jang himmat-e-mardāna chāhiye
himmat agar nahīñ hai to mar jaanā chāhiye
ye kyā ki buz-diloñ kī tarah guftugū kareñ
pesh-e-harīf shān-e-harīfāna chāhiye
terā har e'tirāz sar āñkhoñ pe hai magar
andāz-e-e'tirāz sharīfāna chāhiye
zor-e-bayāñ nahīñ na sahī vaqt-e-guftugū
tarz-e-suḳhan ba-rang-e-kalīmāna chāhiye
paanī meñ rahnā hai to na rakkheñ magar se bair
az-rāh-e-maslahat sahī yārāna chāhiye
bujhte hue diloñ ko jo tahrīk de sake
kirdār aisā hausla-mandāna chāhiye
'rahbar' kisī kī ham-safarī ho jahāñ se baar
tum ko usī maqām se lauT aanā chāhiye
dauran-e-jang himmat-e-mardana chahiye
himmat agar nahin hai to mar jaana chahiye
ye kya ki buz-dilon ki tarah guftugu karen
pesh-e-harif shan-e-harifana chahiye
tera har e'tiraaz sar aankhon pe hai magar
andaz-e-e'tiraaz sharifana chahiye
zor-e-bayan nahin na sahi waqt-e-guftugu
tarz-e-suKHan ba-rang-e-kalimana chahiye
pani mein rahna hai to na rakkhen magar se bair
az-rah-e-maslahat sahi yarana chahiye
bujhte hue dilon ko jo tahrik de sake
kirdar aisa hausla-mandana chahiye
'rahbar' kisi ki ham-safari ho jahan se bar
tum ko usi maqam se lauT aana chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.