dawa asar nahin rakhti dua qubul nahin
davā asar nahīñ rakhtī duā qubūl nahīñ
ye kaise log haiñ jin ko ḳhudā qubūl nahīñ
mirā bhī dil nahīñ lagtā ghane makānoñ meñ
use bhī shahr kī āb-o-havā qubūl nahīñ
pahuñch to saktā huuñ manzil pe aap se pahle
magar maiñ kyā karūñ jab rāstā qubūl nahīñ
ki jis se sher meñ ma.anī kā iltavā hī na ho
suḳhan ke baab meñ vo tajraba qubūl nahīñ
maiñ vo faqīr huuñ jis ko diloñ ke tāqchoñ meñ
ḳhudā qubūl hai ḳhauf-e-ḳhudā qubūl nahīñ
vo husn hai use zebā tamām rāz-o-niyāz
maiñ ishq huuñ mujhe shikva gila qubūl nahīñ
dil-o-dimāġh pe taarī hai us kā ishq 'fidā'
dil-o-dimāġh ko duniyā bhī nā-qubūl nahīñ
dawa asar nahin rakhti dua qubul nahin
ye kaise log hain jin ko KHuda qubul nahin
mera bhi dil nahin lagta ghane makanon mein
use bhi shahr ki aab-o-hawa qubul nahin
pahunch to sakta hun manzil pe aap se pahle
magar main kya karun jab rasta qubul nahin
ki jis se sher mein mani ka iltawa hi na ho
suKHan ke bab mein wo tajraba qubul nahin
main wo faqir hun jis ko dilon ke taqchon mein
KHuda qubul hai KHauf-e-KHuda qubul nahin
wo husn hai use zeba tamam raaz-o-niyaz
main ishq hun mujhe shikwa gila qubul nahin
dil-o-dimagh pe tari hai us ka ishq 'fida'
dil-o-dimagh ko duniya bhi na-qubul nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.