dayar-e-be-hunar mein ye hunar becha nahin maine
dayār-e-be-hunar meñ ye hunar bechā nahīñ maiñ ne
maiñ be-ghar to huā huuñ apnā ghar bechā nahīñ maiñ ne
zarūrat to rahī hai mujh ko bhī ashyā-e-duniyā kī
magar ḳhud ko kabhī bhī lamha-bhar bechā nahīñ maiñ ne
mire siine meñ jo paltā rahā hai ek muddat se
kisī sūrat bhī bachpan kā vo Dar bechā nahīñ maiñ ne
usī ko bech Daalā hai ye joban bhī javānī bhī
ye apnī aabrū ko dar-ba-dar bechā nahīñ maiñ ne
jalā huuñ umr-bhar maiñ is tamāzat meñ sar-e-sahrā
kisī sūrat bhī ġhurbat meñ shajar bechā nahīñ maiñ ne
samandar se adāvat to rahī hai aaj tak 'tanhā'
samandar kā koī la.al-o-gohar bechā nahīñ maiñ ne
dayar-e-be-hunar mein ye hunar becha nahin main ne
main be-ghar to hua hun apna ghar becha nahin main ne
zarurat to rahi hai mujh ko bhi ashya-e-duniya ki
magar KHud ko kabhi bhi lamha-bhar becha nahin main ne
mere sine mein jo palta raha hai ek muddat se
kisi surat bhi bachpan ka wo Dar becha nahin main ne
usi ko bech Dala hai ye joban bhi jawani bhi
ye apni aabru ko dar-ba-dar becha nahin main ne
jala hun umr-bhar main is tamazat mein sar-e-sahra
kisi surat bhi ghurbat mein shajar becha nahin main ne
samandar se adawat to rahi hai aaj tak 'tanha'
samandar ka koi lal-o-gohar becha nahin main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.