dayar-e-chashm se nikla hai justuju kar ke
dayār-e-chashm se niklā hai justujū kar ke
paḌhī namāz-e-safar ashk ne vuzū kar ke
havā-e-dasht-e-talab merī aarzū kar ke
saroñ pe ḳhaak uḌātī hai hāo-hū kar ke
hamesha baat kī hālāñki us ne tū kar ke
maiñ be-mazā na huā phir bhī guftugū kar ke
na de sakeñge agar ham ḳhirāj-e-nok-e-sināñ
to aaj dekheñge ḳhud ko lahū-lahū kar ke
hamārī fikr musavvir ke gird ghūmtī hai
havā jo aatī hai gulshan se tum ko chhū kar ke
takān degī agar dhuup ġham ke sūraj kī
ḳhushī ke chāñd ko rakh dūñgā rū-ba-rū kar ke
farāz-e-arsh kā chamkā huā sitārā bhī
Thahar na pā.egā rātoñ ko ab adū kar ke
use hamārī zarūrat thī is liye 'shārib'
qabā-e-dil vo dikhātā rahā rafū kar ke
dayar-e-chashm se nikla hai justuju kar ke
paDhi namaz-e-safar ashk ne wuzu kar ke
hawa-e-dasht-e-talab meri aarzu kar ke
saron pe KHak uDati hai hao-hu kar ke
hamesha baat ki haalanki us ne tu kar ke
main be-maza na hua phir bhi guftugu kar ke
na de sakenge agar hum KHiraj-e-nok-e-sinan
to aaj dekhenge KHud ko lahu-lahu kar ke
hamari fikr musawwir ke gird ghumti hai
hawa jo aati hai gulshan se tum ko chhu kar ke
takan degi agar dhup gham ke suraj ki
KHushi ke chand ko rakh dunga ru-ba-ru kar ke
faraaz-e-arsh ka chamka hua sitara bhi
Thahar na paega raaton ko ab adu kar ke
use hamari zarurat thi is liye 'shaarib'
qaba-e-dil wo dikhata raha rafu kar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.