dayar-e-dard se aaya hua nahin lagta
dayār-e-dard se aayā huā nahīñ lagtā
maiñ ahl-e-dil ko satāyā huā nahīñ lagtā
mirā vajūd jahāñ hai vahāñ shuhūd nahīñ
maiñ aa bhī jā.ūñ to aayā huā nahīñ lagtā
ye baat sach hai usī ne mujhe banāyā hai
magar maiñ kun se banāyā huā nahīñ lagtā
ye be-hijāb falak aur ye be-libās zamīñ
mujhe to kuchh bhī chhupāyā huā nahīñ lagtā
hai bārishoñ meñ milāvaT ki gard āñkhoñ meñ
koī bhī peḌ nahāyā huā nahīñ lagtā
mirī plate meñ ḳhilqat kī bhuuk nāchtī hai
isī liye mujhe khāyā huā nahīñ lagtā
mirī kamar pe ladā hai anaaj bachchoñ kā
vo bojh hai ki uThāyā huā nahīñ lagtā
fasurda chehra shikasta qadam jhukī nazreñ
ġharīb baap kamāyā huā nahīñ lagtā
dharī hai jis pe tasallī kī degchī 'vāsif'
mujhe vo chūlhā jalāyā huā nahīñ lagtā
dayar-e-dard se aaya hua nahin lagta
main ahl-e-dil ko sataya hua nahin lagta
mera wajud jahan hai wahan shuhud nahin
main aa bhi jaun to aaya hua nahin lagta
ye baat sach hai usi ne mujhe banaya hai
magar main kun se banaya hua nahin lagta
ye be-hijab falak aur ye be-libas zamin
mujhe to kuchh bhi chhupaya hua nahin lagta
hai barishon mein milawaT ki gard aankhon mein
koi bhi peD nahaya hua nahin lagta
meri plate mein KHilqat ki bhuk nachti hai
isi liye mujhe khaya hua nahin lagta
meri kamar pe lada hai anaj bachchon ka
wo bojh hai ki uThaya hua nahin lagta
fasurda chehra shikasta qadam jhuki nazren
gharib bap kamaya hua nahin lagta
dhari hai jis pe tasalli ki degchi 'wasif'
mujhe wo chulha jalaya hua nahin lagta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.