dayar-e-ghair mein apne dayar ki baaten
dayār-e-ġhair meñ apne dayār kī bāteñ
hoñ jaise ahd-e-ḳhizāñ meñ bahār kī bāteñ
jahān-e-ishq meñ ahl-e-dimāġh mat DhūñDeñ
sukūn-e-qalb kī bāteñ qarār kī bāteñ
hazār fitnoñ kā maskan hai sīna-e-ādam
rumūz-e-ahrman-o-kirdgār kī bāteñ
kashākash-e-ġhame-duniyā se jab milegī najāt
kareñge gesū-o-ruḳhsār-e-yār kī bāteñ
mirā dimāġh bhī majbūr dil bhī hai majbūr
maiñ kis zabāñ se karūñ iḳhtiyār kī bāteñ
'qamar' hamīñ se haiñ sher-o-adab ke hangāme
karoge yaad ġharīb-ud-dayār kī bāteñ
dayar-e-ghair mein apne dayar ki baaten
hon jaise ahd-e-KHizan mein bahaar ki baaten
jahan-e-ishq mein ahl-e-dimagh mat DhunDen
sukun-e-qalb ki baaten qarar ki baaten
hazar fitnon ka maskan hai sina-e-adam
rumuz-e-ahrman-o-kirdgar ki baaten
kashakash-e-ghame-duniya se jab milegi najat
karenge gesu-o-ruKHsar-e-yar ki baaten
mera dimagh bhi majbur dil bhi hai majbur
main kis zaban se karun iKHtiyar ki baaten
'qamar' hamin se hain sher-o-adab ke hangame
karoge yaad gharib-ud-dayar ki baaten
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 477)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.