dayar-e-husn ki hangama-samani nahin jati
dayār-e-husn kī hangāma-sāmānī nahīñ jaatī
pareshāñ kār-e-ulfat kī pareshānī nahīñ jaatī
musallam haiñ hazāroñ dāstāneñ husn ko lekin
vahāñ jo āshiqī kī baat ho maanī nahīñ jaatī
qubūl-e-tauba-o-afv-e-gunah sab kuchh sahī lekin
kabhī nā-kardanī kī ḳhud pashemānī nahīñ jaatī
mohabbat vo musībat hai ki jis par bas nahīñ chaltā
ba-āsānī ye aatī hai ba-āsānī nahīñ jaatī
mirī tasvīr-e-vahshat le ke ab ahbāb kyā leñge
ye dīvāne kī sūrat hai jo pahchānī nahīñ jaatī
shab-e-ġham maañd paḌ jaatī hai jab mahfil sitāroñ kī
hamāre dāġh-hā-e-dil kī tābānī nahīñ jaatī
garebāñ-chāk sahrā-gard shorish qaidi-e-zindāñ
bahar-sūrat junūñ kī fitna-sāmānī nahīñ jaatī
qayāmat ke sivā kyā hogā us kī be-hijābī meñ
ki jis kī ik jhalak se dil kī hairānī nahīñ jaatī
na bol is par havā-e-dahr kī ik lahr hai ye bhī
hañsī aa.ī to kyā gul kī pareshānī nahīñ jaatī
hazāroñ yās-o-hirmāñ dard-o-ġham kā hai hujūm is meñ
mire vahshat-kade kī phir bhī vīrānī nahīñ jaatī
mohabbat 'shākir' apne saath āh-o-giryā laa.ī hai
mirī aadat hai ye aadat ba-āsānī nahīñ jaatī
dayar-e-husn ki hangama-samani nahin jati
pareshan kar-e-ulfat ki pareshani nahin jati
musallam hain hazaron dastanen husn ko lekin
wahan jo aashiqi ki baat ho mani nahin jati
qubul-e-tauba-o-afw-e-gunah sab kuchh sahi lekin
kabhi na-kardani ki KHud pashemani nahin jati
mohabbat wo musibat hai ki jis par bas nahin chalta
ba-asani ye aati hai ba-asani nahin jati
meri taswir-e-wahshat le ke ab ahbab kya lenge
ye diwane ki surat hai jo pahchani nahin jati
shab-e-gham mand paD jati hai jab mahfil sitaron ki
hamare dagh-ha-e-dil ki tabani nahin jati
gareban-chaak sahra-gard shorish qaidi-e-zindan
bahar-surat junun ki fitna-samani nahin jati
qayamat ke siwa kya hoga us ki be-hijabi mein
ki jis ki ek jhalak se dil ki hairani nahin jati
na bol is par hawa-e-dahr ki ek lahr hai ye bhi
hansi aai to kya gul ki pareshani nahin jati
hazaron yas-o-hirman dard-o-gham ka hai hujum is mein
mere wahshat-kade ki phir bhi virani nahin jati
mohabbat 'shakir' apne sath aah-o-girya lai hai
meri aadat hai ye aadat ba-asani nahin jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.