dayar-e-husn se guzre to sar jhuka ke chale
dayār-e-husn se guzre to sar jhukā ke chale
vahāñ to tīr-e-nazar sirf dilrubā ke chale
har ik qadam pe hai ḳhatrā-e-chāk-dāmānī
kahāñ-kahāñ koī dāman bachā-bachā ke chale
shajar pe jism ke hone lagī 'ayāñ qudrat
use kaho ki vo paañv dabā-dabā ke chale
thakā thakā sā badan ye saḌak namak roTī
ḳhudā kā shukr hai jhoñke abhī havā ke chale
dhuāñ-dhuāñ sā hai har samt rāh-e-manzil meñ
unhoñ ne raushnī paa.ī jo dil lagā ke chale
na jaane kitne fasāne gaḌhe raqīboñ ne
zarā sā 'nazr' jo shurfā bhī laḌkhaḌā ke chale
dayar-e-husn se guzre to sar jhuka ke chale
wahan to tir-e-nazar sirf dilruba ke chale
har ek qadam pe hai KHatra-e-chaak-damani
kahan-kahan koi daman bacha-bacha ke chale
shajar pe jism ke hone lagi 'ayan qudrat
use kaho ki wo panw daba-daba ke chale
thaka thaka sa badan ye saDak namak roTi
KHuda ka shukr hai jhonke abhi hawa ke chale
dhuan-dhuan sa hai har samt rah-e-manzil mein
unhon ne raushni pai jo dil laga ke chale
na jaane kitne fasane gaDhe raqibon ne
zara sa 'nazr' jo shurfa bhi laDkhaDa ke chale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.