dayar-e-ishq mein aashufta-kar hum bhi hain
dayār-e-ishq meñ āshufta-kār ham bhī haiñ
ze-farq-tā-ba-qadam sho.ala-zār ham bhī haiñ
guzar rahe haiñ gulistāñ se bū-e-gul kī tarah
sharīk-e-mauj-e-nasīm-e-bahār ham bhī haiñ
jo sun sako to hamārī bhī arz-e-ġham sun lo
ki ik dukhe hue dil kī pukār ham bhī haiñ
navāzte haiñ nigāh-e-karam se jo sab ko
ye un se koī kahe be-qarār ham bhī haiñ
tire sitam kā hai is vaqt imtihāñ manzūr
idhar bhī dekh tire jāñ-nisār ham bhī haiñ
kabhī kabhī to hameñ fursat-e-masarrat de
tire shikār ġham-e-rozgār ham bhī haiñ
sharīk-e-mahfil-e-vā.iz jo ho ga.e haiñ to kyā
ba-faiz-e-tishna-labī bāda-ḳhvār ham bhī haiñ
dayar-e-ishq mein aashufta-kar hum bhi hain
ze-farq-ta-ba-qadam shoala-zar hum bhi hain
guzar rahe hain gulistan se bu-e-gul ki tarah
sharik-e-mauj-e-nasim-e-bahaar hum bhi hain
jo sun sako to hamari bhi arz-e-gham sun lo
ki ek dukhe hue dil ki pukar hum bhi hain
nawazte hain nigah-e-karam se jo sab ko
ye un se koi kahe be-qarar hum bhi hain
tere sitam ka hai is waqt imtihan manzur
idhar bhi dekh tere jaan-nisar hum bhi hain
kabhi kabhi to hamein fursat-e-masarrat de
tere shikar gham-e-rozgar hum bhi hain
sharik-e-mahfil-e-waiz jo ho gae hain to kya
ba-faiz-e-tishna-labi baada-KHwar hum bhi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.