dayar-e-ishq mein aise bhi hain maqam bahut
dayar-e-ishq mein aise bhi hain maqam bahut
Hamid-ul-Ansari Anjum
MORE BYHamid-ul-Ansari Anjum
dayār-e-ishq meñ aise bhī haiñ maqām bahut
jahāñ junūn kā hotā hai ehtirām bahut
kahīñ jo tesha-e-farhād haath aa jaa.e
jahān-e-ishq meñ ho jaa.e apnā naam bahut
ho jin duāoñ meñ iḳhlās kā lahū shāmil
unhī duāoñ se niklegā apnā kaam bahut
na aao tum sar-e-maqtal abhī ḳhudā ke liye
junūn-e-ishq tumhārā abhī hai ḳhaam bahut
hamārī zaat hai sarmāya-e-vafā 'anjum'
dayār-e-ishq meñ apnā sanad hai naam bahut
dayar-e-ishq mein aise bhi hain maqam bahut
jahan junun ka hota hai ehtiram bahut
kahin jo tesha-e-farhad hath aa jae
jahan-e-ishq mein ho jae apna nam bahut
ho jin duaon mein iKHlas ka lahu shamil
unhi duaon se niklega apna kaam bahut
na aao tum sar-e-maqtal abhi KHuda ke liye
junun-e-ishq tumhaara abhi hai KHam bahut
hamari zat hai sarmaya-e-wafa 'anjum'
dayar-e-ishq mein apna sanad hai nam bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.