dayar-e-ishq mein tera guzar howe to main jaanun
dayar-e-ishq mein tera guzar howe to main jaanun
Zain-ul-Abideen Khan Arif
MORE BYZain-ul-Abideen Khan Arif
dayār-e-ishq meñ terā guzar hove to maiñ jānūñ
agar sar tak bhī jā kar raah sar hove to maiñ jānūñ
mirā girya bahā detā hai har ik baat ko merī
bas in bātoñ se us ke dil meñ ghar hove to maiñ jānūñ
ḳharābī kis kī hai jo ye hamāre dasht-e-vahshat ho
agar is baat kā haamī ḳhizar hove to maiñ jānūñ
na barham ho tū dāġh-e-dil ko mere dekh kar qātil
tirī shamshīr ke aage sipar hove to maiñ jānūñ
guzar kar jaan se apnī qadam rakh rāh-e-vahshat meñ
agar phir umr-bhar tujh ko ḳhatar hove to meñ jānūñ
jo tujh se ho sake saudā-e-bāzār-e-mohabbat kar
dil-o-jāñ tak bhī jaane meñ zarar hove to maiñ jānūñ
kisī tadbīr se jā garm kar aa.uuñ agar 'ārif'
galī meñ us ke dushman kā guzar hove to maiñ jānūñ
dayar-e-ishq mein tera guzar howe to main jaanun
agar sar tak bhi ja kar rah sar howe to main jaanun
mera girya baha deta hai har ek baat ko meri
bas in baaton se us ke dil mein ghar howe to main jaanun
KHarabi kis ki hai jo ye hamare dasht-e-wahshat ho
agar is baat ka hami KHizar howe to main jaanun
na barham ho tu dagh-e-dil ko mere dekh kar qatil
teri shamshir ke aage sipar howe to main jaanun
guzar kar jaan se apni qadam rakh rah-e-wahshat mein
agar phir umr-bhar tujh ko KHatar howe to mein jaanun
jo tujh se ho sake sauda-e-bazar-e-mohabbat kar
dil-o-jaan tak bhi jaane mein zarar howe to main jaanun
kisi tadbir se ja garm kar aaun agar 'arif'
gali mein us ke dushman ka guzar howe to main jaanun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.