dayar-e-jabr mein bhi sar-nigun nahin hoti
dayār-e-jabr meñ bhī sar-nigūñ nahīñ hotī
ḳhulūs ho to mohabbat zubūñ nahīñ hotī
kabhī kabhī to shab-e-ġham ke sard lamhoñ meñ
tumhārī yaad bhī vaj.h-e-sukūñ nahīñ hotī
matā.a-e-zarf ne jhuknā hameñ sikhāyā hai
ki be-sharāb surāhī nigūñ nahīñ hotī
fareb detā hai jis tarah zindagī kā jamāl
tirī nigāh bhī yuuñ pur-fusūñ nahīñ hotī
fazā ke jism meñ lākhoñ hī zaḳhm haiñ lekin
hamāre dard kī tashrīh yuuñ nahīñ hotī
hamārā 'baḳht' hai zabt-e-davām kī tafsīr
yahāñ numā.ish-e-soz-e-darūñ nahīñ hotī
dayar-e-jabr mein bhi sar-nigun nahin hoti
KHulus ho to mohabbat zubun nahin hoti
kabhi kabhi to shab-e-gham ke sard lamhon mein
tumhaari yaad bhi wajh-e-sukun nahin hoti
mataa-e-zarf ne jhukna hamein sikhaya hai
ki be-sharab surahi nigun nahin hoti
fareb deta hai jis tarah zindagi ka jamal
teri nigah bhi yun pur-fusun nahin hoti
faza ke jism mein lakhon hi zaKHm hain lekin
hamare dard ki tashrih yun nahin hoti
hamara 'baKHt' hai zabt-e-dawam ki tafsir
yahan numaish-e-soz-e-darun nahin hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.