dayar-e-KHwab mein koshish hai phir sajaane ki
dayār-e-ḳhvāb meñ koshish hai phir sajāne kī
banā rahā huuñ maiñ tasvīr āshiyāne kī
abhī to sirf bagūle uThe ḳhayāloñ meñ
abhī se rukne lagī nabz kyuuñ zamāne kī
shuā.eñ dene lage aisā ke añdhere bhī
na.ī adā hai charāġhoñ meñ jhilmilāne kī
mahāz maiñ ne hī apne ḳhilāf kholā hai
ki aa ga.ī hai ghaḌī ḳhud ko āzmāne kī
zarā sī Thes se aañsū nikal paḌe varna
ye koī rasm nahīñ hai diye jalāne kī
dayar-e-KHwab mein koshish hai phir sajaane ki
bana raha hun main taswir aashiyane ki
abhi to sirf bagule uThe KHayalon mein
abhi se rukne lagi nabz kyun zamane ki
shuaen dene lage aisa ke andhere bhi
nai ada hai charaghon mein jhilmilane ki
mahaz main ne hi apne KHilaf khola hai
ki aa gai hai ghaDi KHud ko aazmane ki
zara si Thes se aansu nikal paDe warna
ye koi rasm nahin hai diye jalane ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.