dayar-e-nur se tarikiyon mein aae hue
dayār-e-nūr se tārīkiyoñ meñ aa.e hue
kabhī na hoñge farozāñ tire bujhā.e hue
sunahre log jo raste kushāda karte haiñ
ye dil-zada haiñ bahut se fareb khaa.e hue
kisī ne muḌ ke hameñ muskurā ke dekhā thā
phir ek 'umr huī dil se muskurā.e hue
ḳhasāra hai ki shab-o-roz baḌhtā jaatā hai
hamāre ḳhvāb bhī goyā haiñ qaumiyā.e hue
dayar-e-nur se tarikiyon mein aae hue
kabhi na honge farozan tere bujhae hue
sunahre log jo raste kushada karte hain
ye dil-zada hain bahut se fareb khae hue
kisi ne muD ke hamein muskura ke dekha tha
phir ek 'umr hui dil se muskurae hue
KHasara hai ki shab-o-roz baDhta jata hai
hamare KHwab bhi goya hain qaumiyae hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.