dayar-e-shab mein nahin wadi-e-sahar mein nahin
dayār-e-shab meñ nahīñ vādī-e-sahar meñ nahīñ
maqām-e-shauq koī aaj bhī nazar meñ nahīñ
sukūñ-pazīr hai jo bahr-e-be-karāñ dil meñ
vo ek ashk abhī merī chashm-e-tar meñ nahīñ
agarche mausam-e-gul hai magar koī ḳhushbū
kisī kalī meñ kisī phuul meñ shajar meñ nahīñ
ġhalat ki mauj-e-balā se hameñ gila hai koī
bajā ki Duub ga.e ham magar bhañvar meñ nahīñ
vo zindagī hī mirī justujū kā mehvar hai
kahīñ bhī ai ġham-e-dil jo mirī nazar meñ nahīñ
'kañval' ko DhūñDhiye jā kar kisī bayābāñ meñ
bahut dinoñ se vo dīvāna apne ghar meñ nahīñ
dayar-e-shab mein nahin wadi-e-sahar mein nahin
maqam-e-shauq koi aaj bhi nazar mein nahin
sukun-pazir hai jo bahr-e-be-karan dil mein
wo ek ashk abhi meri chashm-e-tar mein nahin
agarche mausam-e-gul hai magar koi KHushbu
kisi kali mein kisi phul mein shajar mein nahin
ghalat ki mauj-e-bala se hamein gila hai koi
baja ki Dub gae hum magar bhanwar mein nahin
wo zindagi hi meri justuju ka mehwar hai
kahin bhi ai gham-e-dil jo meri nazar mein nahin
'kanwal' ko DhunDhiye ja kar kisi bayaban mein
bahut dinon se wo diwana apne ghar mein nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.