dayar-e-shauq ke sab manzaron se uncha hai
dayār-e-shauq ke sab manzaroñ se ūñchā hai
ye sang-e-dar tirā saare gharoñ se ūñchā hai
maqām-e-'ijz ko baḳhshī ga.ī hai rif'at-e-ḳhās
jo sar ḳhamīda hai vo ham-saroñ se ūñchā hai
farāz-e-tūr kī ḳhvāhish na kar abhī ai 'ishq
ye āsmān abhī tere paroñ se ūñchā hai
ḳhudā madad ki ye shaitān nafs-e-ammāra
mire uchhāle hue kankaroñ se ūñchā hai
fareb-e-qāmat-e-rahbar na khaao ham-safaro
vo dekho qadd-e-'alam rahbaroñ se ūñchā hai
ye ashk-e-hijr to sailāb ban gayā hai 'zahīr'
jidhar bhī dekhiye paanī saroñ se ūñchā hai
dayar-e-shauq ke sab manzaron se uncha hai
ye sang-e-dar tera sare gharon se uncha hai
maqam-e-'ijz ko baKHshi gai hai rif'at-e-KHas
jo sar KHamida hai wo ham-saron se uncha hai
faraaz-e-tur ki KHwahish na kar abhi ai 'ishq
ye aasman abhi tere paron se uncha hai
KHuda madad ki ye shaitan nafs-e-ammara
mere uchhaale hue kankaron se uncha hai
fareb-e-qamat-e-rahbar na khao ham-safaro
wo dekho qadd-e-'alam rahbaron se uncha hai
ye ashk-e-hijr to sailab ban gaya hai 'zahir'
jidhar bhi dekhiye pani saron se uncha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.