dayar-e-shauq mein mujhko gham-e-sud-o-ziyan kyon ho
dayar-e-shauq mein mujhko gham-e-sud-o-ziyan kyon ho
JaiKrishn Chaudhry Habeeb
MORE BYJaiKrishn Chaudhry Habeeb
dayār-e-shauq meñ mujh ko ġham-e-sūd-o-ziyāñ kyoñ ho
jo luT jaa.e na rāhoñ meñ vo merā kārvāñ kyoñ ho
ta'alluq tark kar ke bhī mere dil meñ nihāñ kyoñ ho
mujhe āzār-e-jāñ de kar merā rūh-e-ravāñ kyoñ ho
ise chāhūñ use chāhūñ jise chāhūñ kisī ko kyā
zamāna mujh se kyoñ uljhe zamāna bad-numā kyoñ ho
nazar chehre pe Daalī hai magar kuchh sahmī sahmī sī
hasīnoñ kā ye ro'b-e-husn un kā pāsbāñ kyoñ ho
vahī hai kaif-o-sarmastī vahī lutf aur lazzat hai
jahāñ terā tasavvur hai mai-e-rañgīñ vahāñ kyoñ ho
jahāñ sho'loñ se phūloñ ke hasīñ chehre jhulaste haiñ
jahāñ kāñTe panapte haiñ vo merā gulsitāñ kyoñ ho
lab-e-gul par tumhīñ ḳhandāñ mere dil meñ tumhīñ raqsāñ
ayaañ ho is qadar jab tum to āñkhoñ se nihāñ kyoñ ho
'habīb' ab pyaar kī vo chāñdnī rāteñ nahīñ baaqī
to us pahlī nazar kī yaad bhī dil meñ nihāñ kyoñ ho
dayar-e-shauq mein mujh ko gham-e-sud-o-ziyan kyon ho
jo luT jae na rahon mein wo mera karwan kyon ho
ta'alluq tark kar ke bhi mere dil mein nihan kyon ho
mujhe aazar-e-jaan de kar mera ruh-e-rawan kyon ho
ise chahun use chahun jise chahun kisi ko kya
zamana mujh se kyon uljhe zamana bad-numa kyon ho
nazar chehre pe Dali hai magar kuchh sahmi sahmi si
hasinon ka ye ro'b-e-husn un ka pasban kyon ho
wahi hai kaif-o-sarmasti wahi lutf aur lazzat hai
jahan tera tasawwur hai mai-e-rangin wahan kyon ho
jahan sho'lon se phulon ke hasin chehre jhulaste hain
jahan kanTe panapte hain wo mera gulsitan kyon ho
lab-e-gul par tumhin KHandan mere dil mein tumhin raqsan
ayan ho is qadar jab tum to aankhon se nihan kyon ho
'habib' ab pyar ki wo chandni raaten nahin baqi
to us pahli nazar ki yaad bhi dil mein nihan kyon ho
- Book : نغمۂ زندگی (Pg. 75)
- Author : جے کرشن چودھری حبیب
- Publication : جے کرشن چودھری حبیب
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.