de do masjid mein hi paimana mujhe
de do masjid meñ hī paimāna mujhe
aaj kyā jaanā hai mai-ḳhāna mujhe
diip āñdhī meñ jalā.e jo kabhī
to kahā ḳhalq ne dīvāna mujhe
dekhnā ḳhvāb kā Thahrā hai ḳhatā
phir huā aaj bhī jurmāna mujhe
din guzartā hī nahīñ un ke binā
aate haiñ yaad vo rozāna mujhe
na rahī ġham ke uThāne kī sakat
jab nahīñ koī milā shāna mujhe
jāntā huuñ vo yahāñ rahte nahīñ
phir bhī pyārā hai ye vīrāna mujhe
dekhnā duur se manzūr huā
shoḳhī-e-jalva-e-jānāna mujhe
de do masjid mein hi paimana mujhe
aaj kya jaana hai mai-KHana mujhe
dip aandhi mein jalae jo kabhi
to kaha KHalq ne diwana mujhe
dekhna KHwab ka Thahra hai KHata
phir hua aaj bhi jurmana mujhe
din guzarta hi nahin un ke bina
aate hain yaad wo rozana mujhe
na rahi gham ke uThane ki sakat
jab nahin koi mila shana mujhe
jaanta hun wo yahan rahte nahin
phir bhi pyara hai ye virana mujhe
dekhna dur se manzur hua
shoKHi-e-jalwa-e-jaanana mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.