de kar fareb pyas ki aazurdagi ko hum
de kar fareb pyaas kī āzurdagī ko ham
aao nā ghūñT bhar ke piyeñ zindagī ko ham
khulne lagī hai niiñd kī bhedoñ bharī kathā
chhūne lage haiñ ḳhvāb kī dil-bastagī ko ham
sahrā qubūl kartā hai bārish kā indiya
miTTī meñ gūñdh lete haiñ jab tishnagī ko ham
rakh kar hazār aa.ine us ruḳh ke rū-ba-rū
dhoka diyā kareñge tirī sādgī ko ham
raqsāñ hai boznoñ kī tarah vaqt be-takān
takte haiñ putliyoñ kī tarah DugDugī ko ham
andar hī apne ḳhaak uḌāte haiñ duur tak
bāhar nahīñ nikālte āvārgī ko ham
hājat ke daam girte nahīñ haiñ naqāb meñ
ya.anī hijāb karte haiñ be-pardagī ko ham
suntā thā be-kanār samundar hamārī nazm
auroñ ko bhī sunāte rahe dil lagī ko ham
lafzoñ kī mezbānī agar sauñp dī ga.ī
mehmāñ kareñge aap kī sanjīdgī ko ham
de kar fareb pyas ki aazurdagi ko hum
aao na ghunT bhar ke piyen zindagi ko hum
khulne lagi hai nind ki bhedon bhari katha
chhune lage hain KHwab ki dil-bastagi ko hum
sahra qubul karta hai barish ka indiya
miTTi mein gundh lete hain jab tishnagi ko hum
rakh kar hazar aaine us ruKH ke ru-ba-ru
dhoka diya karenge teri sadgi ko hum
raqsan hai boznon ki tarah waqt be-takan
takte hain putliyon ki tarah DugDugi ko hum
andar hi apne KHak uDate hain dur tak
bahar nahin nikalte aawargi ko hum
hajat ke dam girte nahin hain naqab mein
yani hijab karte hain be-pardagi ko hum
sunta tha be-kanar samundar hamari nazm
auron ko bhi sunate rahe dil lagi ko hum
lafzon ki mezbani agar saunp di gai
mehman karenge aap ki sanjidgi ko hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.