de ke ehsas-e-tamanna ka bas ek jam mujhe
de ke ehsas-e-tamanna ka bas ek jam mujhe
Aashufta Shahjahanpuri
MORE BYAashufta Shahjahanpuri
de ke ehsās-e-tamannā kā bas ik jaam mujhe
kar diyā kis ne rahīn-e-ġham-e-ayyām mujhe
kam se kam tum to na dete koī ilzām mujhe
maiñ ne māñgī ki milī qismat-e-nākām mujhe
mudda.ā ye hai ki dam bhar na mile dil ko qarār
bheje jaate haiñ jo paiġhām pe paiġhām mujhe
ab to ehsās-e-tamannā bhī hai bār-e-ḳhātir
kis jagah lā ke ye chhoḌā dil-e-nākām mujhe
har tamanna hai mirī un kā taqāzā goyā
maiñ vahī kahtā huuñ hotā hai jo ilhām mujhe
un kā 'āshufta' karam rāh-numā thā varna
chalnā mushkil thā rah-e-ishq meñ do-gām mujhe
de ke ehsas-e-tamanna ka bas ek jam mujhe
kar diya kis ne rahin-e-gham-e-ayyam mujhe
kam se kam tum to na dete koi ilzam mujhe
main ne mangi ki mili qismat-e-nakaam mujhe
muddaa ye hai ki dam bhar na mile dil ko qarar
bheje jate hain jo paigham pe paigham mujhe
ab to ehsas-e-tamanna bhi hai bar-e-KHatir
kis jagah la ke ye chhoDa dil-e-nakaam mujhe
har tamanna hai meri un ka taqaza goya
main wahi kahta hun hota hai jo ilham mujhe
un ka 'ashufta' karam rah-numa tha warna
chalna mushkil tha rah-e-ishq mein do-gam mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.