de ke gham ye aapne kya mujh pe ehsan kar diya
de ke ġham ye aap ne kyā mujh pe ehsāñ kar diyā
donoñ 'ālam kī masarrat se gurezāñ kar diyā
zindagī tārīk thī ik 'umr se merī magar
aap kī yādoñ ne aa kar dil farozāñ kar diyā
aa.iye chāhe jidhar se ab koī diqqat nahīñ
ham ne sab tārīk rāhoñ ko charāġhāñ kar diyā
dekhiye vo shaiḳh jī haiñ mai-kade se rū-barū
kaam thā mushkil magar ye maiñ ne āsāñ kar diyā
vaqt ne khelā hai kaisā khel mere saath meñ
un ko rāhat baḳhsh dī mujh ko pareshāñ kar diyā
de ke gham ye aap ne kya mujh pe ehsan kar diya
donon 'alam ki masarrat se gurezan kar diya
zindagi tarik thi ek 'umr se meri magar
aap ki yaadon ne aa kar dil farozan kar diya
aaiye chahe jidhar se ab koi diqqat nahin
hum ne sab tarik rahon ko charaghan kar diya
dekhiye wo shaiKH ji hain mai-kade se ru-baru
kaam tha mushkil magar ye main ne aasan kar diya
waqt ne khela hai kaisa khel mere sath mein
un ko rahat baKHsh di mujh ko pareshan kar diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.