de ke mafhum ko lafzon ke KHazane mere
de ke mafhūm ko lafzoñ ke ḳhazāne mere
log likkheñge mire baad fasāne mere
de gayā giit ke sar kaun na jaane mere
har parinde kī zabāñ par haiñ tarāne mere
shor-e-dariyā nahīñ hai mujh meñ samundar kā sukūt
ye sifat mujh ko atā kī hai ḳhudā ne mere
phir muḳhātib hai mire jism se purvā yaaro
phir na jaag uTTheñ kahīñ dard purāne mere
bojh maiñ sang-e-muravvat kā uThā.ūñ kaise
tere ehsān ne ḳham kar diye shāne mere
shab se pūchho na.e sūraj kī ubhartī kirno
shab ne dekhe haiñ ziyā-bār zamāne mere
kaisī parvāz ki parvāz se pahle ai dost
bāl-o-par kaaT liye dast-e-havā ne mere
sochtā rahtā hai nākām musāfir shab bhar
kahkashāñ aa.egī rastoñ ko sajāne mere
sāhil-e-vaqt se Takrā hī ga.ī āḳhir 'shād'
mashvare mauj-e-taḳhayyul ne na maane mere
de ke mafhum ko lafzon ke KHazane mere
log likkhenge mere baad fasane mere
de gaya git ke sar kaun na jaane mere
har parinde ki zaban par hain tarane mere
shor-e-dariya nahin hai mujh mein samundar ka sukut
ye sifat mujh ko ata ki hai KHuda ne mere
phir muKHatib hai mere jism se purwa yaro
phir na jag uTThen kahin dard purane mere
bojh main sang-e-murawwat ka uThaun kaise
tere ehsan ne KHam kar diye shane mere
shab se puchho nae suraj ki ubharti kirno
shab ne dekhe hain ziya-bar zamane mere
kaisi parwaz ki parwaz se pahle ai dost
baal-o-par kaT liye dast-e-hawa ne mere
sochta rahta hai nakaam musafir shab bhar
kahkashan aaegi raston ko sajaane mere
sahil-e-waqt se Takra hi gai aaKHir 'shad'
mashware mauj-e-taKHayyul ne na mane mere
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.