de ke main KHud ko mat kamre mein
de ke maiñ ḳhud ko maat kamre meñ
tanhā baiThā thā raat kamre meñ
tere hone se yuuñ lagā mujh ko
jaise ho kā.enāt kamre meñ
chhoḌ kar tum ga.e to jazboñ kī
ho ga.ī hai vafāt kamre meñ
terī tasvīr aur ye tanhā.ī
kaaT dī yuuñ hayāt kamre meñ
misrā-e-na.at jab paḌhā maiñ ne
chaar sū thī nashāt kamre meñ
terī palkoñ pe jo ruke aañsū
jagmagā.ī hai raat kamre meñ
de ke main KHud ko mat kamre mein
tanha baiTha tha raat kamre mein
tere hone se yun laga mujh ko
jaise ho kaenat kamre mein
chhoD kar tum gae to jazbon ki
ho gai hai wafat kamre mein
teri taswir aur ye tanhai
kaT di yun hayat kamre mein
misra-e-nat jab paDha main ne
chaar su thi nashat kamre mein
teri palkon pe jo ruke aansu
jagmagai hai raat kamre mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.