de KHuda wusat to sab ke kaam aana chahiye
de KHuda wusat to sab ke kaam aana chahiye
Mohammad Hazim Hassan
MORE BYMohammad Hazim Hassan
de ḳhudā vus'at to sab ke kaam aanā chāhiye
dil meñ dushman ke bhī ghar apnā banānā chāhiye
aap ke dil meñ jagah mere liye kyā sach hai ye
allāh allāh is se behtar kyā Thikāna hai
gar kabhī nafrat kī koī lahr uTThe qalb se
jis tarah ho us ko to qaabū meñ laanā chāhiye
bāñTte hī chāhiye rahnā mohabbat ke gulāb
dil ke gulshan ko kahā kis ne sajānā chāhiye
anjuman koī ho aur dāman kisī kā bhī ho vo
ḳhushbuoñ meñ sab ke dāman ko basānā chāhiye
rāz-e-dil ifshā na ho 'hassān' hai behtar yahī
hāl-e-dil khul kar kabhī lab par na laanā chāhiye
de KHuda wus'at to sab ke kaam aana chahiye
dil mein dushman ke bhi ghar apna banana chahiye
aap ke dil mein jagah mere liye kya sach hai ye
allah allah is se behtar kya Thikana hai
gar kabhi nafrat ki koi lahr uTThe qalb se
jis tarah ho us ko to qabu mein lana chahiye
banTte hi chahiye rahna mohabbat ke gulab
dil ke gulshan ko kaha kis ne sajaana chahiye
anjuman koi ho aur daman kisi ka bhi ho wo
KHushbuon mein sab ke daman ko basana chahiye
raaz-e-dil ifsha na ho 'hassan' hai behtar yahi
haal-e-dil khul kar kabhi lab par na lana chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.