de kuchh to dars husn ko ya-rab sabaat ka
de kuchh to dars husn ko yā-rab sabāt kā
mil jaa.e ek ghūñT hī āb-e-hayāt kā
pīchhe chalā maiñ jis ke vo ḳhud thā talāsh meñ
rasta zarūr hogā koī to najāt kā
jo mātamī libās kā pūchhā sabab to vo
bole huā hai ḳhuun mirī ḳhvāhishāt kā
uThtī hai jab tarang samundar kī mauj meñ
to dil pe kyoñ asar na ho phir chāñd-rāt kā
chorī kiyā kisī ne mire yaar kā jo dil
mulzim magar huā to maiñ us vārdāt kā
mujh ko nahīñ hai yaad 'ināyat kī ik nazar
kab ittifāq mujh ko huā iltifāt kā
āsān to nahīñ haiñ mohabbat ke rāste
maiñ raat sochtā hī rahā mushkilāt kā
maiñ ne kahā raqīb se mat tum milā karo
kuchh bhī asar huā na magar merī baat kā
de kuchh to dars husn ko ya-rab sabaat ka
mil jae ek ghunT hi aab-e-hayat ka
pichhe chala main jis ke wo KHud tha talash mein
rasta zarur hoga koi to najat ka
jo matami libas ka puchha sabab to wo
bole hua hai KHun meri KHwahishat ka
uThti hai jab tarang samundar ki mauj mein
to dil pe kyon asar na ho phir chand-raat ka
chori kiya kisi ne mere yar ka jo dil
mulzim magar hua to main us wardat ka
mujh ko nahin hai yaad 'inayat ki ek nazar
kab ittifaq mujh ko hua iltifat ka
aasan to nahin hain mohabbat ke raste
main raat sochta hi raha mushkilat ka
main ne kaha raqib se mat tum mila karo
kuchh bhi asar hua na magar meri baat ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.