de raha hai samar udasi ka
de rahā hai samar udāsī kā
mere dil meñ shajar udāsī kā
puure tan ko banā ke miTTī se
dil banāyā magar udāsī kā
mujh se ik baar tū sabab to pūchh
ai mire be-ḳhabar udāsī kā
tū mudāvā na kar sakegā kabhī
ai mire chārāgar udāsī kā
aañkh vīrāñ hai zehn gum-sum hai
aur dil hai nagar udāsī kā
maiñ ne dekhā udaas nazroñ se
mausamoñ par asar udāsī kā
shā.irī be-sabab nahīñ utrī
ye bhī hai ik samar udāsī kā
kaif-āvar thā ibtidā meñ ishq
aur baaqī safar udāsī kā
pahle tum the makīñ magar ab to
dil hai muddat se ghar udāsī kā
kaa.ī jamne lagī hai manzar par
ye huā hai asar udāsī kā
hijr kī shab kā chāñd aisā thā
jaise bū nāma-bar udāsī kā
aañkh se uḌ gayā hai tā.ir-e-naum
ḳhvāb meñ thā guzar udāsī kā
de raha hai samar udasi ka
mere dil mein shajar udasi ka
pure tan ko bana ke miTTi se
dil banaya magar udasi ka
mujh se ek bar tu sabab to puchh
ai mere be-KHabar udasi ka
tu mudawa na kar sakega kabhi
ai mere chaaragar udasi ka
aankh viran hai zehn gum-sum hai
aur dil hai nagar udasi ka
main ne dekha udas nazron se
mausamon par asar udasi ka
shairi be-sabab nahin utri
ye bhi hai ek samar udasi ka
kaif-awar tha ibtida mein ishq
aur baqi safar udasi ka
pahle tum the makin magar ab to
dil hai muddat se ghar udasi ka
kai jamne lagi hai manzar par
ye hua hai asar udasi ka
hijr ki shab ka chand aisa tha
jaise bu nama-bar udasi ka
aankh se uD gaya hai tair-e-naum
KHwab mein tha guzar udasi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.