de sakta hai kya meri wafaon ka sila aur
de sakta hai kya meri wafaon ka sila aur
Jameel Arshad Khan Arshad
MORE BYJameel Arshad Khan Arshad
de saktā hai kyā merī vafāoñ kā silā aur
tarkash meñ agar tiir hoñ baaqī to chalā aur
maiñ rāh-rav-e-rāh-e-tamannā huuñ sitam-gar
har zaḳhm pe baḌh jaatā hai kuchh merā nishāñ aur
dīvāne jalāte haiñ charāġhoñ ko lahū se
is vāste baḌh jaatī hai kuchh un kī ziyā aur
is millat-e-mazlūm kī ġhairat ko jagāne
do chaar thapeḌe zarā ai mauj-e-balā aur
kyā hausla toḌegī mirā bād-e-muḳhālif
bujhtā hai diyā ek to jaltā hai diyā aur
phailegī shafaq ban ke mire ḳhuun kī laalī
gardūñ ke bhī phir hoñge kuchh andāz-e-adā aur
tabdīlī-e-hālāt kā shā.eq hai zamāna
darkār magar hai abhī kuchh rang-e-hinā aur
pīrān-e-ḳharābāt to mai-noshī meñ ḳhush haiñ
ma.alūm ho kyā un ko mohabbat hai nasha aur
hai ḳhirqa-e-sālūs ye zāhid zarā bachnā
ḳhalvat kī qabā aur hai jalvat kī qabā aur
ho saktā hai maiñ tujh ko mayassar na rahūñ kal
jī bhar ke mujhe jān-e-vafā aaj satā aur
ye kaise masīhā se paḌā hai mirā paalā
baḌhtā hai maraz merā jo detā hai davā aur
pur-ḳhār guzargāh kā shaidā.ī huuñ 'arshad'
is raah pa chalne kā hai apnā hī mazā aur
de sakta hai kya meri wafaon ka sila aur
tarkash mein agar tir hon baqi to chala aur
main rah-raw-e-rah-e-tamanna hun sitam-gar
har zaKHm pe baDh jata hai kuchh mera nishan aur
diwane jalate hain charaghon ko lahu se
is waste baDh jati hai kuchh un ki ziya aur
is millat-e-mazlum ki ghairat ko jagane
do chaar thapeDe zara ai mauj-e-bala aur
kya hausla toDegi mera baad-e-muKHalif
bujhta hai diya ek to jalta hai diya aur
phailegi shafaq ban ke mere KHun ki lali
gardun ke bhi phir honge kuchh andaz-e-ada aur
tabdili-e-haalat ka shaeq hai zamana
darkar magar hai abhi kuchh rang-e-hina aur
piran-e-KHarabaat to mai-noshi mein KHush hain
malum ho kya un ko mohabbat hai nasha aur
hai KHirqa-e-salus ye zahid zara bachna
KHalwat ki qaba aur hai jalwat ki qaba aur
ho sakta hai main tujh ko mayassar na rahun kal
ji bhar ke mujhe jaan-e-wafa aaj sata aur
ye kaise masiha se paDa hai mera pala
baDhta hai maraz mera jo deta hai dawa aur
pur-KHar guzargah ka shaidai hun 'arshad'
is rah pa chalne ka hai apna hi maza aur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.