de to rahi ho gyan mohabbat kiya karen
de to rahī ho gyaan mohabbat kiyā kareñ
ḳhud bhī to merī jaan mohabbat kiyā kareñ
pahle hī merī jaan kā dushman hai terā husn
us par tirā bayān mohabbat kiyā kareñ
is ke baġhair aap kā dil sach kahūñ agar
ḳhālī hai martabān mohabbat kiyā kareñ
laḌne jhagaḌne ke liye din bhar kā vaqt hai
rātoñ ke darmiyān mohabbat kiyā kareñ
ḳhushbū na is kī jā.egī tā-umr jism se
ho jaa.eñ itr-dān mohabbat kiyā kareñ
is ke sivā jahān meñ shaddād kuchh nahīñ
jhuktā hai āsmān mohabbat kiyā kareñ
ik dūsre meñ kho ga.e haiñ is tarah se ham
kis ko hai ab ye dhyān mohabbat kiyā kareñ
de to rahi ho gyan mohabbat kiya karen
KHud bhi to meri jaan mohabbat kiya karen
pahle hi meri jaan ka dushman hai tera husn
us par tera bayan mohabbat kiya karen
is ke baghair aap ka dil sach kahun agar
KHali hai martaban mohabbat kiya karen
laDne jhagaDne ke liye din bhar ka waqt hai
raaton ke darmiyan mohabbat kiya karen
KHushbu na is ki jaegi ta-umr jism se
ho jaen itr-dan mohabbat kiya karen
is ke siwa jahan mein shaddad kuchh nahin
jhukta hai aasman mohabbat kiya karen
ek dusre mein kho gae hain is tarah se hum
kis ko hai ab ye dhyan mohabbat kiya karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.