de uThe hain lau kuchh yun aariz us pari-ru ke
de uThe haiñ lau kuchh yuuñ aariz us parī-rū ke
jal meñ jaise aks-afgan phuul hoñ lab-e-jū ke
yuuñ dhuāñ-dhuāñ sī haiñ mash.aleñ tamaddun kī
le rahe hoñ saañs un meñ jaise aag ke luuke
aañkh se nikalte hī jā milā jo maaTī meñ
kaun poñchhtā aañsū us ġharīb aañsū ke
kaañp kaañp uThtā hai chāñd kā kaleja jab
TūTte haiñ ā.īne chāñdnī kī ḳhushbū ke
ham jo ek jaañ hote hūk-hūk kar rote
dūriyoñ ke vīrāne marhale man-o-tū ke
sair ġhuncha-o-gul se jis qadar huiiñ āñkheñ
ham usī qadar nikle rang-rūp ke bhūke
raat karvaTeñ kyā kyā liiñ tire tasavvur ne
bār-bār baj uThte kaan har-bun-e-mū ke
de uThe hain lau kuchh yun aariz us pari-ru ke
jal mein jaise aks-afgan phul hon lab-e-ju ke
yun dhuan-dhuan si hain mashalen tamaddun ki
le rahe hon sans un mein jaise aag ke luke
aankh se nikalte hi ja mila jo maTi mein
kaun ponchhta aansu us gharib aansu ke
kanp kanp uThta hai chand ka kaleja jab
TuTte hain aaine chandni ki KHushbu ke
hum jo ek jaan hote huk-huk kar rote
duriyon ke virane marhale man-o-tu ke
sair ghuncha-o-gul se jis qadar huin aankhen
hum usi qadar nikle rang-rup ke bhuke
raat karwaTen kya kya lin tere tasawwur ne
bar-bar baj uThte kan har-bun-e-mu ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.