dekh ab to mera dushman bhi kahe kya baat hai
dekh ab to merā dushman bhī kahe kyā baat hai
ab to mere paas aa kar pūchh le kyā baat hai
bas isī hasrat ke chalte maiñ to huuñ shā'ir banā
maiñ sunā.ūñ she'r us ko vo kahe kyā baat hai
is qadar ye mehrbānī in dinoñ mujh pe ḳhudā
mil rahe haiñ bin du'ā hī ġham mujhe kyā baat hai
ai masīhā tere hāthoñ kī shifā ko kyā huā
tere hote zaḳhm mere haiñ hare kyā baat hai
tum to kahte the ki mere qurb meñ hai ik sukūñ
aaj kyoñ haiñ darmiyāñ ye fāsle kyā baat hai
aaj 'sā.in' yaad karte haiñ mujhe ahbāb kyoñ
sochtā huuñ pūchh luuñ kis kaam se kyā baat hai
dekh ab to mera dushman bhi kahe kya baat hai
ab to mere pas aa kar puchh le kya baat hai
bas isi hasrat ke chalte main to hun sha'ir bana
main sunaun she'r us ko wo kahe kya baat hai
is qadar ye mehrbani in dinon mujh pe KHuda
mil rahe hain bin du'a hi gham mujhe kya baat hai
ai masiha tere hathon ki shifa ko kya hua
tere hote zaKHm mere hain hare kya baat hai
tum to kahte the ki mere qurb mein hai ek sukun
aaj kyon hain darmiyan ye fasle kya baat hai
aaj 'sain' yaad karte hain mujhe ahbab kyon
sochta hun puchh lun kis kaam se kya baat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.