dekh husn-e-yar ki ranaiyan
dekh husn-e-yār kī ra.anā.iyāñ
kū-ba-kū āshiq kī vo rusvā.iyāñ
bazm meñ auroñ ke haiñ vo jalva-gar
aur nasībe meñ mire tanhā.iyāñ
umr saarī thī haqīqat kī talāsh
mujh ko manzil par milīñ parchhā.iyāñ
ashk dukh majnūñ kī qismat the to kyoñ
husn-e-lailā pā gayā zebā.iyāñ
sog hai āshiq kā kū-e-yār meñ
baj rahī haiñ shaam se shahnā.iyāñ
'aḳhtar' un kī yaad se ābād dil
rashk-e-bazm-e-ġhair ye tanhā.iyāñ
dekh husn-e-yar ki ranaiyan
ku-ba-ku aashiq ki wo ruswaiyan
bazm mein auron ke hain wo jalwa-gar
aur nasibe mein mere tanhaiyan
umr sari thi haqiqat ki talash
mujh ko manzil par milin parchhaiyan
ashk dukh majnun ki qismat the to kyon
husn-e-laila pa gaya zebaiyan
sog hai aashiq ka ku-e-yar mein
baj rahi hain sham se shahnaiyan
'aKHtar' un ki yaad se aabaad dil
rashk-e-bazm-e-ghair ye tanhaiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.