dekh jazbaat-e-nazar sab raegan ho jaenge
dekh jazbāt-e-nazar sab rā.egāñ ho jā.eñge
vo nihāñ hī kab haiñ nādāñ jo 'ayāñ ho jā.eñge
kyā ḳhabar thī rāz-hā-e-dil zabāñ ho jā.eñge
mere do aañsū bhī merī dāstāñ ho jā.eñge
jaan kho kar ġham meñ jān-e-dāstāñ ho jā.eñge
ye nishānī chhoḌ kar ham be-nishāñ ho jā.eñge
āsmān-e-hashr hashr-e-āsmāñ ho jā.eñge
jab ba-tashrīh-e-javānī vo javāñ ho jā.eñge
be-ḳhudī ke bandagī ke zauq ke jazbāt ke
ek hī sajde meñ saare imtihāñ ho jā.eñge
ai ġhalat-andesh mere āñsuoñ ko tū na chheḌ
ye zamīñ par gir ga.e to āsmāñ ho jā.eñge
tū Thahar kar kaash dekhe vo bhī vaqt aane ko hai
tujh se kosoñ duur ai umr-e-ravāñ ho jā.eñge
kāmrāñ sābit vahī hoñge rah-e-maqsūd meñ
jo qadam barbād sa.ī-e-rā.egāñ ho jā.eñge
aaj sunte haiñ zamāne kī 'shifā' ham dāstāñ
kal zamāne ke liye ḳhud dāstāñ ho jā.eñge
dekh jazbaat-e-nazar sab raegan ho jaenge
wo nihan hi kab hain nadan jo 'ayan ho jaenge
kya KHabar thi raaz-ha-e-dil zaban ho jaenge
mere do aansu bhi meri dastan ho jaenge
jaan kho kar gham mein jaan-e-dastan ho jaenge
ye nishani chhoD kar hum be-nishan ho jaenge
aasman-e-hashr hashr-e-asman ho jaenge
jab ba-tashrih-e-jawani wo jawan ho jaenge
be-KHudi ke bandagi ke zauq ke jazbaat ke
ek hi sajde mein sare imtihan ho jaenge
ai ghalat-andesh mere aansuon ko tu na chheD
ye zamin par gir gae to aasman ho jaenge
tu Thahar kar kash dekhe wo bhi waqt aane ko hai
tujh se koson dur ai umr-e-rawan ho jaenge
kaamran sabit wahi honge rah-e-maqsud mein
jo qadam barbaad sai-e-raegan ho jaenge
aaj sunte hain zamane ki 'shifa' hum dastan
kal zamane ke liye KHud dastan ho jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.