dekh kar dariyai dhaare ishq ke
dekh kar dariyā.ī dhāre ishq ke
TuuT jaate haiñ kināre ishq ke
jo bhī shāmil un kī mahfil meñ huā
us ne hī dekhe nazāre ishq ke
kūcha-e-dilbar se jaate hī nahīñ
ye sabhī lagte haiñ maare ishq ke
yuuñ nahīñ aa.ī hai hoñToñ par hañsī
mil ga.e us ko ishāre ishq ke
koī maane yā nahīñ maane magar
ham haiñ dīvāne tumhāre ishq ke
ham jalā deñ yaar ke ḳhat kis tarah
ye asāsa haiñ hamāre ishq ke
dekh kar dariyai dhaare ishq ke
TuT jate hain kinare ishq ke
jo bhi shamil un ki mahfil mein hua
us ne hi dekhe nazare ishq ke
kucha-e-dilbar se jate hi nahin
ye sabhi lagte hain mare ishq ke
yun nahin aai hai honTon par hansi
mil gae us ko ishaare ishq ke
koi mane ya nahin mane magar
hum hain diwane tumhaare ishq ke
hum jala den yar ke KHat kis tarah
ye asasa hain hamare ishq ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.